Thursday, 23 July 2015

CID: सबसे शातिर लेखक कौन ? The Three Friends (Completed)



Daya   -   Sir ek kaam karte hai, ye teeno dost me se ek ashok engineering college me tha, to jarur 
                kisi na kisi college me iske baare me kuch pata chal sakta hai, kyo na aas pass ke sabhi 
                engineering colleges se pata kare ki is saal me kisi Ashok naam ke student to nikala gaya 
                ho...
ACP   -   Theek hai daya, tum sab log do do ki team me sabhi engineering institutes me jaao aur jald 
               se jald pata karo, kaun hai ye aur kaha milenge.


               Sabhi log apne apne do do ke group me sabhi colleges me jaakar puchtaach karte hai, 
               1.   Nikhil aur fredy   
               2.   Daya aur Pankaj,
               3.   Shreya aur Abhijeet   
               4.   Purvi aur Sachin

Sabhi jagah haath per marne ke baad ek college me Shreya aur abhijeet ko ek jaankari mili.
Wo tha “MR institute of engineering and technology”.

Abhijeet - Kya aap bata sakte hai ki pichle ek do saal me koi Ashok naam ka student tha jisko kisi 
                 wajas se nikala gaya ho..

Principal-  Just e minute sir, wo apne assistant ko call karke bulata hai, aur ek file laane ko kehta hai. 
                 Assistant turant wo file leke aata hai, aur abhijeet ko dikhata hai ki sir, ye ashok ko 1 
                 mahine pehle hi is college se nikala gaya hai.

Abhijeet - Jara aur kuch bata sakte hai ki kyo nikala gaya tha aur iska address kya hai.. kaha rehta 
                 tha..

Principal - Ji jarur sir, ye Ashok drugs supply karte huye campus me pakda gaya tha, isliye ise hume 
                 college se nikalna pada.

Abhijeet -  kya !! college me drugs supply....
                  Kaha rehta tha ye.. aur kuch jaankari iske baare me...

Principal - Sir, pas me hi ek ilaka hai shahar se dora bahar ki teraf, wahi iska parmanent address 
                  hai... baaki local address to usne kuch bhara nahi hai.. saayad daily up-down karta hoga..


Abhijeet -  Theek hai, parmanent address hi dijiye.. wahi se kuch haath lag jayega..
                  Address leke dono waha se nikalte hai, aur aapas me baat karte hai..

Shreya  -    Sir ye to lagta hai koi criminal activities me involved tha.. tabhi to college ne use nikala
                  aur ab ek aur crime karne jaa raha hai...

Abhijeet  -  Haan, Shreya, hume ise jaldi se jaldi pakdna hoga warna teen teen logo ki jaan jaa sakti
                   hai, air uper se acp sir to mujh par khar khake baithe hai..

                  Chalo shreya, kuch to hath laga, pehle acp saahab ko bata deta hu to unka gussa thoda 
                  kam ho jayega, kab se mere piche pade hath dho ke..

Shreya  -    Haan Sir, acp sir to bahut gusse me hai aaj, me to bahut dari hui thi.

Abhijeet -  ACP pradyuman ko phone karke batata hai ki sir, ashok ka pata chal gaya hai, pass ke 
                  ilake me uska ghar hai, hum wahi jaa rahe hai.. uske baare me aur pata karne.

ACP      -   Very good Abhijeet, jao aur pata karo, kaha hai ye Ashok, akhir pata to chale, manjra 
                   kya hai..

Abhijeet -   Shreya, baki logo ko bhi phone karke bata do ki hume ashok ka pata chal gaya hai, wo 
                   log ab aur kisi college me na jaye..

Shreya   -    Theek hai sir, me sabki inform kar deti hu..

Thori der me abhijeet aur shreya, ashok ke ghar pahuchte hai aur waha uski maa aur pita se milte hai..... Darwaja khatkhataya to maa ne darwaja khola : Kaun ho aap log ?

Shreya  -    Hum log CID se hai, aur Ashok ke baare me kuch puchna chahte hai...

CID ka naam sun kar, andar se ashok ke Pitaji bhi bahar aa gaye...


                   Pata tha ek na ek din police yaha aa hi jayegi... isliye pehle hi chala gaya yaha se wo nalayak.. Pal posh kar bada kiya.. apna pet kaat kar use engineer banane ke liye bheja tha shahar, par paise kamane ki jaldi me pata nahi kya kya karne lag lag gaya waha pe... aur college se bhi nikal diya usko..

Abhijeet -   Aapko kisne bataya ki usko college se nikal diya gaya hai, aur kyo nikala gaya hai...?
                  Uska ek dost tha jo aksar uske sath aata jaat tha : wo Roy naam tha uska... achcha 
                  lagka tha, usi ne aake bataya...
                  Pehle bhi usne humko, aagah kiya tha ki ashok ka kuch galat logo ke sath uthna baithna 
                  hai, humne ashok ko bahut samjhaya par wo nahi mana, bola kuch nahi hoga use, aur
                  wo koi galat logo se nahi milta...

Abhijeet  - Ye roy, jo Ashok ka dost hai, wo kaha rehta hai, uske baare me kuch pata hai aapko...

Pita   -       Usi ke sath sahar me rehta tha ek chaul me.. Wo kya naam tha chaul ka: shantabai chaul...
                  College se kuch 2km door hi hai...

Shreya  -   Aur kuch bata sakte hai, aap Ashok ke baare me ki ab wo kaha milega... Pata nahi, us din 
                  ke baad to uski Roy se bhi ladai ho gayi aur wo wo ghar bhi nahi aaya tabhi se...

Abhijeet -  Achcha, thank you.. aur aapko Ashok ke baare me kuch bhi pata chale to hume khabar 
                  karna.. kyoki usko ek aur apraadh karne se rokna hai...

Pita   -        Ab kya karne wala hai sahab wo.?
Abhijeet -  Hume pata chala hai ki wo Roy “jisne apakp uski khabar di thi” ko marna chahta hai..
Maa    -      Kya, Roy ko marna chahta hai, hey bhagwan, is ladke ne to hamare sare sapno ko chur 
                  chur kar diya..  Kya karu iska, isne hume kahin ka nahi chhoda...

Shreya aur abhijeet, apna contact number dekar waha se niklte hai aur Daya ko phone karke chaul ka pata batate hai,

Abhijeet  -  Daya tum “MR institute of engineering and technology” ke 2km ke area me pata karo 
                   Shantibai Chaul kaha hai aur waha jake Is ashok aur Roy ka pata karo... pata chala hai 
                   dono usi chaul me saath me hi rehte the..

Daya  -       Theek hai abhijeet, me abhi waha pahunchta hu..

                   Daya aur uske saath, pankaj aur Purvi bhi waha pahuchte hai.. Chaul me pata karne par 
                   dono ke baare me pata chalta hai..aur Panjaj aur Purvi us kamre ki talashi leta hai jisme 
                   dono rehte the par abhi tala laga tha....

Daya  -       Pados ke logo se kuch puchtachh karta haii: ye log yaha kab se reh rahe the.?


Ek aadmi - yahi koi 1 saal se..

Daya    -     kaise the dono, matlab dono ka vyavhar, baatcheet karne me kaise the, kab aate jaate 
                   the... aur ye Roy kya karta tha..

Ek aurat -   Sahab, waise to theek hi the, par ye Ashok college se aane ke baad fir kahin chala jata 
                   tha aur raat ko kaafi der se aata tha.. ek do baar maine poocha usse—ki tu itni der kaha se
                   aata hai re, tera college to din me khatam ho jaata hai.. to bola tere se matlab.. apna kaam
                   kar na taai..
                   Par wo dusra wala to theek se baat karta tha.. wo kisi hotel me waiter ka kaam karta tha,
                   Kya naam uska,, haa ROY...

Daya   -      Achchaa.. to ye hotel konsa hai.. jisme roy kaam karta tha.. aur ye ashok ko kisi ke saath
                   aate jaate dekha kya..

Ek Ladka-   Roy to paas ke highway par ek hotel hai usme kaam karta tha,,, aur ashok ko kai baar ek
                   motor cycle wale dadhi wale ke saath aata jata dekha tha...

Daya  -        kisi ne number ya kuch dekha us bike wale ke baare me..
Ladka  -      Sir, Number to yaad nahi par, wo Royal Infiend pe aata tha.. aur bike par dragon ka
                   sticker laga tha...

Tabhi purvi andar se aawaj dete huye: Sir

Daya      -     Haan Purvi, kuch mila kya ?

Pankaj    -    Haan sir, kuch peper aur druggs ke pouch mile hai jo saayad ashok supply karta tha..

Daya       -   Papers me kya hai purvi?

Purvi       -   Sir, Dr. Anuj (Matlab Nakli doctor) ki asli degree ki copies hai.. jo ashok ne anuj ko 
                    blackmail karne ke liye rakhi hai..

Daya     -      Achcha to ye baat hai...

           Daya,  Abhijeet ko phone pe saari baat batata hai aur use hotel me Roy ka pata karne ko bolta hai... 

Abhijeet  -   Theek hai daya.. hum sidhe wahi pahuchte hai...

Abhijeet aur shreya waha pahuchte hai... aur ROY ke bare me puchhtachh karte hai.. udhar bureau me phone aata hai ki idhar ek aadmi ki lash padi hai... pradyuman sidhe waha ke liye nikalta hai...apne baki officers ke sath.

Abhijeet (in Hotel to Manager): Ye Roy naam ka waiter aapke yaha kaam karta hai??
Manager -   yes sir, but aap kaun?
Abhijeet  -   Hum log CID se hai..?
Manager -   Oh sorry sir, yes, Roy yahi kaam karta hai par Aaj wo nahi aaya... Aur uska contact
                   bhi nahi ho paa raha hai...
Abhi      -    Uske bare me aur koi jankari hai aapke pass...?
Manager-    Sir, bas mobile number hai aur kuch bhi nahi...?
Abhijeet -    Theek hai, dijiye hume uska mobile number:

Dusri aur acp crime spot pe pahuchta hai, to waha lash ki chhan been karne par pata chala ki lash Anuj ki hai.. jisse Roy marne wala tha, kyoki Anuj ne uski girlfriends se uska jhagda karwa diya tha...

Thori der me Abhijeet aur Daya bhi waha pahuch jaate hai ye khabar paa kar..
Ab baari aati hai Dr. Salukhe aur Tarika ki..

Body Dr. Salukhe ke pass pahucha di jaati hai aur Dr. Salukhe aur tarika us par tooth padte hai  uski aante nikalne ko... baal ka khaal nikaal lete hai..
Aur jab report aati hai tabhi A.C.P waha ja dhamakta hai...

ACP   -    Haan to salukhe, kyaa nikala hai tune is lash me se...
Salukhe-  Aa gaye meri fire brigade:

ACP  -      Haan aa gaye.. ab jaldi se bata aag kaise bujhegi.. warna ek aur maara jayega...

                 Ab chuki shak pehle se hi tha Roy par to CID wale roy ko dhundhne me lag gaye..
                 Cell phone track kiya.. aur pata chala ki roy kahi jangal me hai..
                 Waha cid ki team pahunchti hai.. par waha bhi unhe roy ki Lash milti hai... ab baari thi 
                 Ashok ki... Sabko lag raha tha ki Anuj ko Roy ne Mara aur Roy ko Ashok ne.. 
                 Ab Ashok jinda ghum raha hai use pakdna padega warna criminal ka aise khule ghumna
                 theek nahi hoga.

                Roy ki lash bhi Dr. Salukhe ke hawale kar di gayi aur ab Ashok ko ghundne nikle cid 
                ki team.
                cid team... aapas me baatein karte hai,, ki aakhir ho kya gaya hai logo ko.. chhoti chhoti
                baato par logo ki jaan lene par tule hai.. kanun ke pass kyo nahi jjaate ye log.

                Tabhi pankaj bol pada: sir, kanun to andha hota hai na.. aur waise b kanun se insaaf pane 
                ke liye time aur paisa dono ki bahut barbadi hoti hai.. isliye log sochte hoge ki khud hi
                judge ban kar faisa dede aur khud hi jailer ban ke sajaa dede...

                Shut up Pankaj, ek CID officer hoke aisi baatein karte ho... Sharm aani chahiye' ACP Chillayaa’.

Pankaj  -  Sorry sir, me to bas yu hi majak me ....

                Ab Ashok ko dhundhne me lagi cid team, salukhe ke pass pahuchti hai... Salukhe batata 
                hai ki dono ki maut strong drugs dene aur gala badane se huyi hai.... Ashok ke upper aur
                shaq gahra ho gaya.. kyoki wo drugs wale logo ke contact me tha... jarur usi ne ise maara
                hoga.. 
                Ashok ke liye Jaal bhichhaya gaya.. cell phone tracking par rakha tab use istemaal karne
                wale ek aadmi ko pakda, jo dikhne me theek waise hi tha jo chaul ke logo ne bataya tha.
                Uske pass wo draggen lagi sticker wali Royal infield bike bhi thi. Uske pakde jaane par
                saara game hi saaf ho gaya...

                Usne cid ko bataya ki, Ashok ki lassh bhi usne jangal me dafna di hai. Aur jyada jor dene
                par usne bataya ki Anuj ko bhi usi ne maara tha aur Roy ko bhi. 

ACP     -  Kyo maara Ashok ko ?

Drugs supplier: Ashok mera kaam chhodna chahta tha.. Aur jo hamare dhande me ek baar aa jata 
                hai wo agar dhanda chhodkar jaaye to hamare kiye khatra ban jaata hai, isliye mene
                use mar dala

Daya   -   Roy ko kyu maara?

Drugs supplier: Wo Ashok ka dost tha, Ashok ne use hamare bare me sab bata dia tha.  aur usi 
               ne ashok ko ye kaam chhodne ke liye Manaya, wo hamare bare me jaan chukka tha 
               isliye hamare liye khatra ban gaya tha.....

Abhijeet- Anuj ko kyo maara?

Drugs supplier: sir, mera use koi lena dena nahi tha.. wo to bas ek din me anuj ko samjhane gaya 
                to uske saath uska dusra dost the wo beech me aane laga aur Ashok ki side lene laga.. 
                us waqt to me waha se chala gaya par baad me pata karke uske clinic gaya aur waha 
                usko high dose drugs ka injection de diya..

ACP  -    Teen teen khun aur unhi logo ko aapas me fasane ki sajish me wo letter likh kar abhijeet 
               ke ghar me daal diya.. taki hum tujh tak nahi pahuch sake.. Gumrah kiya hume
               Par bhool gaya ki uska sim card tu use kar raha hai abhi bhi...

Khooni - Haan, sir, uske contact number se hi kafi saare client ko supply karta tha.. 
               uska achcha network tha young logo ka isliye uska number chalu rakhna meri majboori 
               ban gayi thi.. islie mene uska sim card use kiya aur me fas gaya...

               Mujhe maaf kardo please..

ACP  -    Maafi ! Aur tujh Jaise khooni ko,  Jisne teen teen khoon kiye wo bhi masum logo ka..
               Ek engineer banne wala tha apne ma baap sapna pura karne ke liye aur tune usko apne 
               jaal me fasa liya, Aur fir maar daala

               Aur uske dosto ko bhi jo usko bachana chahte the...
               Ab to tujhe fashi hokar hi rahegi...

Khooni: Nahiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii.... 

                             -------------------- THE END ---------------------------

No comments:

Post a Comment